- Baingan ( Brinjal) - 3 pcs.
- Jeera - 1/4 table spoon
- Adrak (jinger) - 2 se 3 inch
- Hari Mirch ( Green Chillies)- 3 pcs.
- Lahsun (Garlic) - 4 se 5 pcs.
- Onion/ Pyaj - 1 Bada pcs katta hua
- Tamatar/ Tomato -1 pcs katta hua
- Dhaniya Powder - 1 table spoon
- Haldi Powder - 1/4 table spoon
- Garam Masala - 1/2 table spoon
- Refined Oil or Sarson Ka tel - 2 table spoon
- Salt/ Namak - Sawad anusar / as per taste
- Hara Dhaniya/ green coriender - sajane k liye / for garnishing
Method:-
- Sable pehle baingan to kat ligye aur pressure cooker me kareeb 3 se 4 siti ane tak pakaiye.
- Ab baingan ko ek thali me nikal ligye thanda hone par, ab usse achi taraha se maish kar ligye.
- Ek kadhai/ frying pan me Refined oil ya sarson ka tel dal kar garam hone de.
- Jaise hi Tel garam ho jaye usme jeera dal digye fir adrak, lahsun aur hari mirch ka paste mila kar dal de.
- Jab Paste halka bhura hone lage to kati hu pyaj dal kar hilaye aur fir tamator dal kar usse bhi halka bhura hone tak pakayein.
- Ab usme Masle / maish kiya hua Baingan dal kar mix kare,
- Fir usme sabhi masale jaise ki haldi powder, Dhaniya Powder, Garam Masala aur Namak dal kar achi tarha se 5 se 10 min. tak pakayein.
- Ab pakaya hua baingan ek serving Bowl me nikal ligye aur hare dhaniye se saja kar garma garam parson,
- Baigan ka bharta aap makai ki roti, besan ki moti roti ke sath khaiye maja aur dugna ho jayega.
No comments:
Post a Comment